Sardi Khansi Ka Ghar Ka Ilaaj | 9 Simple Aur Asaan Home Remedies
✅ 1. Tulsi Aur Adrak Ki Chai
Ek cup chai mein 8-10 tulsi ke patte aur thoda adrak daal ke ubal lo. Isme ek chamach shahad mila ke peena – ye combination gale ke liye best remedy hai. Tulsi antibacterial hoti hai aur adrak inflammation kam karta hai.
✅ 2. Shahad Aur Nimbu Wala Pani
Subah uthte hi ek glass garam pani mein ek chamach shahad aur nimbu ka ras mila lo. Isse na sirf immunity boost hoti hai balki khansi bhi dheere dheere kam ho jati hai.
✅ 3. Steam (Bhaap) Zaroor Lijiye
Garam paani se steam lena naak aur gale ki safai mein madad karta hai. Thoda eucalyptus oil ya Vicks daal do paani mein – bas 5-7 minute ki bhaap se mast relief milta hai.
✅ 4. Haldi Wala Doodh
Raat ko sone se pehle ek glass garam doodh mein aadha chamach haldi daal ke peena – sardi ho ya khansi, ye ek magical nuskha hai. Ye body ko warmth deta hai aur infection se fight karta hai.
✅ 5. Garlic (Lahsun) Zaroor Khayein
Kachcha lahsun infection se ladta hai. Agar taste thoda ajeeb lage toh usse paani mein ubaal ke uska pani pee sakte ho. Powerful antibacterial hai.
✅ 6. Gargle With Salt Water
Din mein 2-3 baar namak wale garam paani se gargle karein. Isse gale ka dard, kharash aur sujan kam hoti hai. Ye ek instant relief dene wali remedy hai.
✅ 7. Hydration & Rest Bahut Zaroori Hai
Pani jyada se jyada piyen – dehydration se bachne ke liye. Aur body ko proper rest bhi do. Recovery tabhi fast hogi jab sharir ko araam milega.
✅ 8. Thandi Hawa Aur Dust Se Bachein
Sardi khansi ke time mein dusty areas aur cold exposure se bacha jaye. Apne aap ko garam rakho – muffler, jacket, aur socks use karo.
✅ 9. Vitamin C Rich Fruits Khayein
Santra, amla, mosambi, strawberry – inme vitamin C high hota hai jo immunity boost karta hai. Roz ek serving lena start karo, aur farak dikhne lagega.
💡 Bonus Tip – Yeh Post Bhi Zaroor Padho:
👉 Wajan Badhane Ke Ghar Ke Nuskhe |
👉Weight loss Home Remedies
👉Vitamin D ki Kami
(Agar sardi khansi ke baad body weak lag rahi hai, toh ye wala blog help karega!)
📝 Final Tips:
Sardi khansi simple cheezein hoti hain, par agar 4-5 din tak aram na mile ya bukhar ho jaye toh doctor se consult zaroor karo. Ye saare desi nuskhe try karo, aur feedback zaroor batana comment mein!
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें